Heyy!! Is post main hum bat krne wale hain Do follow No follow links kya hai ? Agar aap blogging karte hain to aapne suna hi hoga backlink ke bare main specially yah blog post new blogger ke liye bhut important hone wali hai kyonki wo hmesha is sab ko lekar bhut confusion main rahte hain ki backlink kya hota hai kha se bnaya jata hai or bhi isi trh ke question hote hain to hum sabhi ko ek ek karke cover karne wale hain.
Main topic main jane se pehle haman kuch or important points ko cover karna hoga taki aapko sari cheezein acche se samajh aa ske.
Link juice Kya hota hai
Friends jab bhi aap blog post likhte hain wha per aap ek internal link or ek external link aap karte hain inki help se aapke site main aane wale user ek blog se dusre blog per easily reach krte hain.
Aapne bhi maximum blog post main dekha hoga ki article ke beech beech main doosre article ke link dalte hain. Taki user unke blog post ko bhi read kr ske to jab aap bhi isi tarah se external ya internal link krte hain to Google bots use follow karte hain is tarah se wah Link Juice pass karta hai yahi link juice aapko rank karne main or aapke Domain authority badhane main help karta hai isiliye aapko internal linking ke liye bola jata hai.
Do follow link kya hai
Is tarah ki links ko Google Or baki Search engine follow karte hain. Matlab google bots jab bhi aapki site main visit krenge to wo wahi link dekhte hain ki aapne kis tarah ka link diya hua hai agar Do Follow hota hai to wah bots us link ko follow karte hain jisse aapne jis site ko link diya hua hai uski benefit hota hai yahi backlink kehlata hai isiliye jab bhi aap kahin se link lete hain to Do Follow link hi lain.
Do follow link Example
<a href=“http://www.bloggingyukti.com”>domain kya hai</a>
No follow link kya hai
Is tarah ke links ko google Or baki search engine follow nahi karte matlab ki aapke site main aane wala traffic ya user wo to us link se redirect honge but google crawl use follow nhi karega kyuki waha aapne no follow kiya hua hai aisa karne se aapke samne wale website ko koi bhi link nahi milega matlab use fayda nahi hoga na hi aapki website ko kuch nuksaan hoga.
No follow Link Example
<a href=”https://www.bloggingyukti.com” rel=”nofollow”>domain kya hai</a>
Is image ki madad se humne bataya hai ki aap apne post ke links ko kaise Do follow – No follow kar sakte hain.
Robots Meta Tag: <meta name=” robots” content=”nofollow”> yah google crawlers ko batata hai ki wah full-page ke links ko follow na kare.
Link Attribute: <a href=”https://www.gyanhugo.com” rel=”nofollow” yah search engine ko batata hai ki wah pages ki rankings ki terms main link ko count na kare.
Do follow – No follow main antar
In short, Do follow link ko search engine follow karta hai Or No follow link ko nahi karta hai.
Isse pehle hi hamne btaya ki do follow link ki help se aap apni site ki ranking and Domain Authority bdha sakte hain.
Do follow – No follow link kaise check karte hain
Apne browser main jis link ko check karna chahte hain us per right click Or “Inspect Element ” choose kare. Aapke pass ek window khul jayga usme HTML code ke sath waha per aap dekh sakte hain ki link Do follow hai ya No follow.
Yha tak aapne ye to jaan liya ki Dofollow – Nofollow kya hota hai. Ab hum janenge ki ye link aapko kab or kese dena chahiye jo ki bhut important hone wala hai.
Nofollow link kahan use kare
Agar aapko kabhi koi ese site ka link use karne ki jarurat hoti hai jis per aapko trust na ho to aap ese site per Nofollow link ka use kar sakte hain.
Affiliate Program
Yes aapko apne affiliate sites per no follow use karna chahiye ya jo aapke sites main Affiliate program use karte hain whan bhi aapko Nofollow link use karna chahiye kyonki Affiliate sites alag alag type ke product sell karte hain.
Comment Box
Hamare blog main bhut type ke log comment karte hain Usman se koi bad site, porn site, hacking site, sexually site ka bhi link use kar sakta hai jis se ki google spam hota hai so hamesha comment main Nofollow use krain.
Irrelevant Site
Jis site ka topic aapki site se related na ho or jisko aap puri tarah nahi jante asa site main Nofollow link use kijiye.
Bad Sites
Bad sites jaise ki Porn, Hacking, Bad info, Unknown info jese sites always no follow ka hi use kijiye.
Dofollow Link kahan Use kare?
Yah bat bhut important hai kyonki isse hi hamari site ki ranking badhti hai to aapko pta hona chahiye ki iska use hume kaha karna chahiye.
Authority Website
Aap ek trusted or authority website ke liye Dofollow link ka use kar sakte hain. Agar main aako example du to Wikipedia, or har niche main ek trusted Website hota hi hai.
Link Your Post
Jab bhi aap blog ke liye post likh rahe ho to apne ek blog post se Dusre blog post ko link karain to aap post main doosre post ka link hmesha Dofollow kijiye.
Related Website
Agar aapki website health se related hai to hamesha koshish krain ki jo aapka Dofollow link hai waha health se related website ko hi de because same niche per diya hua link jyda effective hota hai or teji se aapki site ki ranking ki speed badhati hai.
Gyan ki baat with Bloggingyukti ??
I hope ye blog post aapke liye helpful raha ho but yahan hume ek baat samajh aati hai ki Dofollow, Nofollow link bahut importent factor hai hamari website ki ranking up and down karne ki liye but fhir bhi main apko kahna chahunga ki agar aap abhi new hain is feild main to ye saari jaankari ke bare main aapko pata hona chahiye tabhi aap apne feild main baaki blogggers ko beat kar paayenge. o thank you for reading and haste rahiye muskurate rahiye or always read my Blogging Yuktiyan !!!
Thank You for reading – Do follow No follow links kya hai